!doctype html> कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन (Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun) Lyrics — Vrinda Ke Geet
Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun — कान्हा  रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन devotional song
Krishna भजन

कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन

Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun

Published: 21 जून 2026

Watch
Ring Bell
Light Diya
Text Size 100%

हिंदी

कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ और मनाता रहूँ,

पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ।दुग्ध-दधि-जल-शहद से नहलाया करूँ,

रेशमी वस्त्र सुन्दर पहनाया करूँ ।

तेरे नयनों में कजरा लगाता रहूँ, गीत गाता रहूँ,

पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ॥ कान्हा…

कुंकुम-केसर के चन्दन लगाऊँ तुझे,

पुष्पमाला मैं सुन्दर पहनाऊँ तुझे ।

पग में पैजनियाँ सुन्दर पहनाता रहूँ और नचाता रहूँ,

पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ॥ कान्हा…

प्यार से सुन्दर व्यंजन खिलाऊँ तुझे,

दुग्ध में मिश्री-केसर पिलाऊँ तुझे ।

तेरे सेवा में तन-मन लगाता रहूँ, मुस्कुराता रहूँ,

पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं || कान्हा…

साथ में गाके लोरी सुलाऊँ तुझे,

प्यारा-सा गीत गा के जगाऊँ तुझे ।

कान्त सपनों में भी मैं सजाता रहूँ और मनाता रहूँ,

पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ॥ कान्हा…

Transliteration

Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,

Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ।Dugdh-Dadhi-Jal-Shahad Se Nahalaya Karoon,

Reshmi Vastra Sundar Pahnaya Karoon ।

Tere Nayanon Mein Kajara Lagata Rahoon, Geet Gata Rahoon,

Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha…

Kunkum-Kesar Ke Chandan Lagaoon Tujhe,

Pushpmala Main Sundar Pahnaoon Tujhe ।

Pag Mein Paijaniyaan Sundar Pahnata Rahoon Aur Nachata Rahoon,

Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha…

Pyaar Se Sundar Vyanjan Khilaoon Tujhe,

Dugdh Mein Mishri-Kesar Pilaoon Tujhe ।

Tere Seva Mein Tan-Man Lagata Rahoon, Muskurata Rahoon,

Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha…

Sath Mein Gaake Lori Sulaoon Tujhe,

Pyara-Sa Geet Ga Ke Jagaoon Tujhe ।

Kant Sapnon Mein Bhi Main Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,

Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha…

🕉️
🌸 play & learn 🌸

Bhakti Mela (भक्ति मेला)

Solve beautiful jigsaw puzzles, play devotional quizzes, and build your daily streak!

🎪 Enter Bhakti Mela ➔

Watch on YouTube

Song Details

Category
krishna
Type
bhajan
Published
21 जून 2026
Tags
krishna bhajan

Download Lyrics